shaurya kya hai
thartharati is dharti ko raungati faujiyo ki ik paltan ka shor
ya sehame se aasman ko chirata huwa, banduko ki salaami ka shor
shaurya kya hai, hari wardi par chamakate huye chand pital ki sitare
ya sarhad ka naam dekar andekhi kuchh lakiro ki numaish
shaurya kya hai
dur udate khamosh parinde ko goliyo se bhun dene ka ehsaas
ya sholo ki barsat se pal bhar mein ek sehar ko shamshan bana dene ka eshaas
shaurya, shayad ek hosla, shayad ek himmat, hamare bohot ander
majhab ke banaye daayare tod kar, kisika haath tham lene ki himmat
goliyo ki betahsha shor ko apni khamoshi se chunoti de pane ki himmat
marti maarti is duniya mein nihatte datte rehne ki himmat
shaurya, aane wale kal ki khatir
apne hisse ki kaynat ko, aaj bacha lene ki himmat
shaurya kya hai
An extract from a poem penned by Javed Akhtar, recited by Shahrukh Khan for the movie Shaurya.
1 comment:
Sir, this most beautiful poem i have read. Its really very nice n Javed sir is very gud at his poems. If everyone come to know the real meaning of this poem than definitely this world can change.
Post a Comment